1. KARELA
Karela aik behtareen sabzi hai jo k khoon main shakar ki satah ko matwazan rakhny main madadgar sabit hoti hai. Yeh aap ke jisam main shakar ki maqdar ko matwazan rakhta hai. Yeh insani jisam main lablaby ko fa’aal banata hai or insulin ko barhany main madad faraham karta hai. Karela har kisam ki sugar ka ilaaj (Diabetes treatment) hai.
Har subh khali pait karely ka arq piyen. Sab sy pehly karely k beej nikal lain or grinder main daal kar iska rus nikal lain or is rus main thora sa pani daal kar istemal karain. Is k ilawa aap apny rozana ki khorak main karely ki koi bhe sabzi bana kar kha sakty hain.
2. DAAR CHEENI
Daar Cheeni main insulin ki sargarmi ko taiz kar k khoon main shakar ki satah ko kam karny ki salahiyat mojood hoti hai. Is main hiyatiyati ajza shamil hoty hain jo Ziabetees sy bachny or is k nateejy main hony wali khoon main shakar ki miqdaar main tabdeeli ko munazzam karty hain. Kuch tajarbaat sy pata chala hai k Daar Cheeni dusri qisam ki Ziabetees k mamlaat main khoon main shakar ki satah ko kam karny main muawan sabit hoti hai.
Daar Cheeni ka ziyada istemal bhe nuqsan deh sabi ho sakta hai q k aam tor par istemal hony wali daar cheeni main aik sufaid shafaf madah hota hai jo k zehreela hota hai or jigar k lye intehai nuqsan deh hota hai.
Is jarri booti ki aik or qisam hai jisy Ceylon daar cheeni k naam sy jana jata hai. Ceylon daar cheeni ko sehat k lye mehfooz samjha jata hai. Lekin khoon main shakar ki satah ko matwazan karny main iska koi saboot mojood nhe.
Isy istemal karny ka tareeka intehai assan hai. Aik cup garam pani main adhy chamach sy aik chamach tak daar cheeni ka safoof mila kar qehwa tayar karain or rozana ki bunyaad par is nosh karain. Is k ilawa aap daar cheeni ki tukriyan ly kar isy paani main 20 minute tak ubaal lain or phir us paani ko nosh karain. Yad rahy k ye qehwa aap din main sir aik martaba pi sakty hain.
3. METHI DANA
Methi dana bhe khoon main sugar k asraat ko kam karny main madadgar sabit hota hai or sugar ka desi ilaj hai. Yeh khoon main shakar ki satah ko bhe matwazan rakhta hai. Is main mojood fiber carbohydrates or khoon main mojood shakar k tanasub ko kam hony sy rokta hai.
Raat main 2 khany k chamach methi dana k aik glass pain main bhigo dain or subh munh nehar yeh pani pee lain or methi dana ko chaba kar kha lain or kuch maheeno tak ye amal dohraty rahain jab tak aap k khoon main shakar ki satah munasib had tak na pohanch jaye. Is k ilawa 2 khany k chamach methi k beej doodh main daal k bhe kha sakty hain.
4. AMLA
Amla qudarti tor par vitamin C sy bharpoor hota hai or is ka rus aap ky lablaby ko sahi tarha kaam karny main madad faraham karta hai. Yeh sugar ka desi ilaj bhe hai.
2-3 amla lain or beejon ko nikal kar bareek pees lain phir aik kapry main paste dal kar rus nikaal lain. Aik cup paani main 2 chamach rus mila kar nehar munh pee lain. Is k ilawa aamly k rus k 2 chamach karely k rus main mila kar peeny sy bhe khoon main shakar ki satah matwazan rehti hai.
5. JAMUN
Jamun bhe khoon main sugar ki satah ko matwazan rakhny main bohat madadgar sabit hota hai. Is ke darakht k har hissy jesa k patty, phal or beej Ziabetees k mareezon k lye behtareen qudarti dawa hai. Tehqeeq sy sabit hua hai k jamun k phal or pody or beej main hypoglycaemic asraat hoty hain. Jo khoon main or peshab main shakar ki miqdaar ko matwazan rakhny main madad faraham karty hain.
Jab bhe ye phal bazaar main dastiyaab ho to isy apni ghiza main lazmi shamil karain q k yeh lablaby ko fa’aal banay main bohat he aham kirdar ada karta hai. Jamun ko istemal karny ka aik or tariqa yeh hai k isky beejon ka safoof (powder) bana lain or is safoof ko din mian 2 baar pani k sath khain. Jamun Asia k bohat sy mumalik khasoosan Pakistan or India main asasani sy dastiyab ho jany wala phal hai.
6. AAM K PATTY
Aam ka patta bhe Ziabetees k ilaaj k lye intehai mufeed hai. In patton main insulin ki satah ko matwazan rakhny waly anasir paye jaty hain. Iska baqaida istemal Ziabetes k ilaaj k lye bhe intehai mufeed hai. Aam ka pata bada main cholesterol ki satah ko bhe matwazan rakhny main madad faraham karta hai.
Isky istemal ka tariqa bhe nehayat asaan hai. 10-15 aam k patty lain or unhain aik glass pani main raat bhar k liye bhigo dain. Subh paani chaan k munh nehar pee lain. Isky ilawa aap aam k patton ko sukha k safoof bana lain. Adha chaye ka chamach din main 2 martaba pani k sath istemal karain.