QABZ KA ILAJ – CONSTIPATION TREATMENT

Qabz aik aisi bemari hai jisy ummul amraaz yani tamam bemariyoun ki maa kaha jata hai or is bemari main taqreeban har teesra fard mubtala hai. Agar ajabat mamool k mutabiq na aye thori thori ho ya doosry or teesry din aye to isy qabz (constipation) kaha jata hai. Baqaida ajabat ke na hony se tabiyat main bhara pan rehta hai q k jb aanton main jaga mojood na ho to nai ghiza ka dakhil hona namumkin hota hai. Or jab ghiza ki wo miqdar jo apka maiday ko chahye hoti hai usy na mily to wo ap k jism ko matlooba miqdaar main tawanai faraham karny sy qasir hota hai or nateejatan aap ki jismani sehat main bigaar paida hona shuru ho jata hai. wajah se din ba din apki sehat girna shuru ho jati hai or aap laaghar or kamzor hony k sath sath mutaddad bemariyon ka shikar ho jaty hain. Agy chal kar hum is article main qabz ka ilaj (constipation medicine), wajuhaat, ehtiyatain ke bary main batain gy. Qabz ko angrezi main constipation bhe kaha jata hai (Qabz meaning in english). Qabz hony sy maida or aanton main kharabi paida ho jati hai jis sy beshumar amraaz janam lety hain. Is lye sehatmand rehny k lye qabz sy nijat behad zaruri hai. Hukmaa hazraat qabz ka ilaj k lye sabz patton wali sabziyan khany ko tarjeeh dety hain jesy k kachi sabziyan, anjeer, doodh, saag, mewah jaat or kaddu, palak or saib waghera sy aanton main or maida main taqat paida hoti hai or nizam e inhizam ko behtar banany main madadgar sabit hoti hain.

BACHON MAIN QABZ KI SHIKAYAT

Bachon main qabz ka hona bhe aaj kal aik aam baat hai. Iski wajoohat beshumar hain lekin ziyada tar wajuhaat nuqsaan deh nhe hain. Jin bachon ko ghiza main fiber or pani ki matlooba miqdar na mily wo bachy aksar qabz ka shikar ho jaty hain. Bachon main qabz ki alaamat ziyada tar un bachon main pai jati hain jo khail kood k doran pakhana roky rakhty hain or baad main yahi pakhana unki aanton main phans k khushk ho jata hain jo qabz ka bais banta hai. Isi lye apny bachon ko foran bathroom jaany ki adat dalain. Ye masla aesa nhe hai jiska ilaaj na ho saky, bachon ke liye main neechy qabz ka fori ilaj in urdu main zikar karun ga jisy istemal karny sy qabz ki tamam shikayaat door ho jain gi.

QABZ KI WAJOOHAT

Qabz hony ki bohat si wajoohat (causes of constipation) hain jin main sy chand jo k ziyada tar mareezon main dekhi gai hain un main aanton ki sozish, maiday ka khorak hazam na karna, bazari pakwan or rang barangy masaly dar khany, mirchon ka ziyada istemal hain. Isky ilawa khana khany k baad musalsal betha rehna ya phir foran lait jana bhe qabz or bawaseer jesi bemariyon ka moajjab banta hai.

QABZ KI ALAMAAT

Qabz ki haalat main ajabat khilaf e mamool doosry ya teesry roz ata hai or baaz okat jab aanton main khushki had sy ziyada barh jaye to ye dorania 4 ya 5 roz tak bhe barh sakta hai. Ajabat khul kar nahi aati or khushki ki waja sy doran e ajabat khoon bhe asakta hai. Aesi halat ke liye Qabz ka fori ilaj bohat zaruri hai.

QABZ K LIYE KUCH GHIZAI EHTIYATAIN

  • Waqt par khana khain
  • Khany ke baad kam sy kam 10-15 minute tak paidal lazmi karain
  • Sabziyon ka istemal ziyada sy ziyada karain
  • Nehar munh kam sy kam 4 glass pani k lazmi piyen
  • Ata (Wheat) baghair channa istemal karain

QABZ KA ILAJ (NUSKHA)

  • Soonth 20 gram
  • Makuh dana 20 gram
  • Desi Ajwain 20 gram
  • Saunf 20 gram
  • Bari Elaichi 20 gram
  • Meetha soda 20 gram

Tarkeeb

Meethy sody k ilawa baki tamam ajza ko grinder main bareek pees lain. Jab tamam ajza bareek pees lain tab inko chaan lain or grinder main bach jany waly moty ajza ko dobara pees kar chaan lain q k pait k amraaz k ilaj k lye tamam ajza ka bareek tar hona bohat zaruri hai. Jab tamam ajza chann jain to is main 20 gram meetha soda daal lain or achi tarha mix kar k jaar main mehfuz kar lain. Agar aap purani qabz jesy masail sy nabard azma hain to adha chamach subh o sham khany k baad istemal karain, gas ka masla foran hal ho jaye ga. Purani sy purani qabz ko khatam karny k lye is nuskha ka 3-4 din tak istemal karain. Neez motapy ko khatam karny k lye bhe ye nuskha bohat faiday mand hai.

QABZ KA GHARELU ILAJ

1. Ispaghol (Psyllium Husk)

Ispaghol qabz ki bemariyon k lye sab sy kamyab tareen gharelu ilaj (constipation treatment in urdu) main sy aik hai or iska musalsal istemal qabz ko puri tarha sy jar sy khatam karta hai. Ispaghol ka tareeka e istemal kuch youn hai; aik glass pani ya phir aik glass doodh k sath raat ko sony sy pehly khain. Ispaghol maidy ki bemariyon k lye behtareen ilaj hai or taqreeban maiday k tamam amraz k lye faida mand hai, maidy main mojood zakham ko mundamil karta hai, gas or jalan k siry sy khatam karta hai or qabz ko jar sy khatam karta hai.

2. Munaqqa (Raisins)

Munaqqa qabz ko khatam karny k lye desi ilaj main intehai mufeed mana jata hai or isy qabz ka fori ilaj bhe kaha jata hai. Is main mojood fiber purani sy purani qabz ko torta hai or nizam inhizam ko taqat or taqwiyat bakhshta hai. Agar apko munaqqa dastiyab na ho to aap kishmish ka istemal bhe kar sakty hain. Tareeka e istemal; 8-10 dany munaqqa pani main bhigo k rakh dain or subh munh nehar is bhigy hue munaqqa ko kha lain or agar aap ko munaqqa bazaar sy nhe mil raha to 15-20 daany kishmish k raat ko bhigo lain or subh munh nehar kha lain

3. Anjeer (Figs)

Anjeer main fiber ki miqdar baki cheezon ki nisbat ziyada pai jati hai isi lye wo mareez jo k daimi qabz ka shikar hain un ke liye aik moassar gharelu ilaj hai. Is ko fresh ya dry dono tarha istemal kiya ja sakta hai. Dry Anjeer ki tarkeeb; 2-3 anjeer k slice lain or isy adha glass pani main raat bhar bhigo k rakh dain or subh munh nehar is bheegy hue anjeer ko khain. Is k istemal sy pait ki gas, maiday ki kharabi or aanton ki sozish k masail khatam hoty hain.

4. Saunf (Fennel Seeds)

Saunf ka istemal maiday k tamam amraz k lye mufeed hai. In amraaz main pait ka dard, nizam e inhizam ki kharabi, bad hazmi, maiday ki jalan shamil hain. Tareeka e Istemal; 8-10 chamach saunf ly kar isy grind kar lain or powder ki shakal main tyar kar k rakh lain. Rozana is powder ka aik chamach aik glass pani k sath khain.

5. Shehad (Honey)

Qabz ko jarr sy khatam karny k lye shehad ka istemal bhe saalon sy kiya ja raha hai. Shehad ka rozana istemal na sirf aap k maiday ko mazboot banata hai balky khushk aanton ko fa’aal banany main bhe behtareen sabit hota hai.
Tamaam itbaa hazraat qabz ki surat main mareez ko fiber sy bharpoor ghizaaon k istemal k mashwara dety hain. Masaly dar cheezain, tali hui ashiya or bazari khano sy parhaiz karain.

Scroll to Top