PAIT DARD – STOMACH PAIN

Pait k kuch masail asy bhe hoty hain jin ki tashkhees aam tor par doctor bhe nhe kar paty. Doctor hazrat routine ki adwiyaat dety rehty hain jiski waja sy maida mazeed kharab ho kar kamzor hona shuru ho jata hai or baaz okaat to hum khud bhe la ilmi ki waja sy asi ghizain istemal kar lety hain jo k maidy k lye nuqsaan deh sabit hoti hain

PAIT DARD KI WAJUHAT (CAUSES OF STOMACH PAIN)

Yahan hum pait dard ki chand bari wajuhaat or un sy hony waaly amraz py roshni dalty hain

1. Gluten Waaly Khany

Agar aapko pait dard (Stomach pain) rehti hai or pait main gas bharny k sath sath paichish ka bhe masla dairpaish hai to ye is baat ka ishara hai ke aapko gluten allergy (celiac disease) hai. Is bemari ka baqaida ilaj hona bohat zaruri hai.

Qudarti tor par gluten tamam anaaj or ajnaas main paya jata hai, maslan gandam, dalya, or suji in main gluten ki miqdar baqadry dusry anaaj or ajnas k ziyada hoti hai. Kuch logon ko gluten sy allergy ho jati hai jiski waja sy pait phoolna shuru ho jata hai or kuch ko pait main shadeed dard or paichish ki alamat shuru ho jati hain. Aam tor par pait dard gas ki wajah sy bhe hoti hai jis ke liye gas ka ilaj intehai mujarrab hai.

2. Fiber Waaly Khany

Jin logon ko qabz ka masla hota hai un logon ko aksar muaalij hazraat fiber waly khany tajweez karty hain. Jab k wo mareez jin ko halki qabz k sath bar bar pakhana ki hajat hoti hai or pait main dard hota hai or gas rehti hai unky lye fiber waly khany bohat he nuqsaan Pait Dard.

3. Choti Aant Main Bacteria

Agar choti aant main bacteria paida ho jaye tab bhe pait dard (stomach pain) jesa mehsus hota hai or is main darj zel bemariyan aap ko gher sakti hain;

  • Pait main mustaqil dard rehna
  • Wazan main kami
  • Gas ka masla
  • Khoon ki kami
  • Neend ki ziyadati
  • Jismani thakawat

Ye bemari antibiotics adwiyaat k istemal sy theek ho sakti hai, lekin iski darust tashkhees k lye kuch test kiye jaaty hain jin k baad he apka mualij apko behtar tariqa e ilaj tajweez karta hai.

4. Pitta (Bladder) K Masail

Baaz okaat pitty sy nikalny waly ghair zaroori mawad ki waja sy pait main dard or gas jesy masail paida ho jaaty hain. Agar hamara pitta tezabi maada kharij karny lagy to pait main dard rehny lagti hai or dekha gaya hai k ye masla aksar raat k waqt paish ata hai. Mareez ko tezabiyat sy bharpoor dikaar aana bhe isi bemari ki alamaat main sy aik hai.

5. Aant Ki Sozish

Agar apka wazan kam hogaya hai or pakhana karty hue pait main dard mehsus hoti hai or pakhana patla ata hai to ye is baat ki alamat hai k aapki aant main sozish hai. Aant aapky khany main mojud pani ko sahi tarha sy jazab nhe kar pati or pakhana bohat patla ho jata hai. Ye bemari aksar cigarette peeny waly hazraat main dekhny main ati hai. Ye bemari fori tor par mualij ki tawaju main lain.

GAS BADHAZMI KA DESI ILAJ

Gas ka ilaj, bad hazmi ka ilaj or seeny ki jalan ka ilaj, maida ka ilaj or pait dard ke liye chand gharelu ilaj tafseel sy bayan karain gy.

1. Kanwar Gandal (Aloe Vera)

Kanwar Gandal (Aloe Vera) ka istemal youn to chehry ki khoobsurti k lye kai sadiyon sy kia jar aha hai lekin is k or bhe bohat sy fawaid hain. Jesy k rozana 2 ounce kanwar gandal ka Sharbat peeny sy aap k seeny ki jalan or tezabiyat door hoti hai or apky maiday ko farhat bakhshta hai, seeny ki jalan ko door karta hai or pait dard ka ilaj samjha jata hai.

2. Leemon Ka Rus

Rozana munh nehaar neem garam pani main leemon ka rus mila kar peeny sy tezabiyat ka marz door hota hai. Subh Sawery kuch bhe khaany sy qabal leemon ka rus peeny sy na sirf aap k maidy ki tezabiyat khatam hogi balky ye aap k maidy ko taqatwar banany main bhe madadgar sabit hoga. Iska aik or faida ye bhe hai k ye rus aap k jism main mojood tezabiyat ki satah ko bhe matwazan rakhta hai, neez ye rus maidy ka ilaj (stomach pain treatment) main bhe mufeed hai.

3. Saib Ka Sirka (Apple Cider Vinegar)

Rozana chand chaye k chamach saib k sirky ka istemal tezabiyat sy najat k hawaly sy madadgar sabit hota hai. Agar aap is ka zaiqa behtar banana chahty hain to thora sa shehad bhe shamil kar sakty hain. Baaz oqaat jab aap ka maida ghiza ko mukammal tor par jazab  nhe kar pa raha hota to yahi sirka is madad faraham karta hai.

4. Adrak (Ginger)

Apni rozana ki ghiza main tazah adrak ka istemal ziyada sy ziyada kijye. Tezabiyat ki shikayat paida hony par kacha chaba kr khany sy ye shikayat door ho jati hai. Is k ilawa aik cup garam pani main adrak shamil kar k aik chamach shehad (honey) k saath peeny sy bhe araam milta hai. Rozana aik chamach adrak ka rus peeny sy aap k seeny ki jalan door hoti hai.

PAIT DARD KE LIYE DESI TOTKAY

  • Adrak ki jr ko nhiat choty choty tukro mein kaat kr leemoo k rus mein do ghnty ky lyey bhigo dein. jb bhi gas ka msala darpaish ho do tukry kha lain.
  • Elaichi k powder ko ik glass pani ky sath pein foree aram a jye ga
  • Koshish kijyey k jin khwateen o hzrat ko gas ka msala hy wo tali hui yani fried cheezon sy ijtenab karain.
  • Haldi ka khano mein istimal gas ki problem ko khtm krta hy koshish krein ky haldi khano mein ziada istimal krein
  • Pepper mint powder gas ky msaly ky lyey bohat mufeed hy
  • Pani ziada peeny sy bhi gas ka msala door hota hy
  • Koshish kijye ky khany ky bad foran bed par na laitain balky kuch qadam chal kar apny nizam e inhizam ko active karain ta k aap ka maida khorak ko hazam kar saky
  • Carbonated drinks sy mukamal parhaiz karain
  • Ubly hue pani mein adrk ki jarain (roots) ko daal kr mazeed ubalein or shehad (honey) daal kr istemal karain.
  • Lehsan (Garlic) ka soup bhi maiday or gas k masail k liye aik ahm totka hai.

MAIDA OR PAIT DARD DOOR KARNY K NUSKHAY

1. Pait ka Phoolna

Maiday msin jab Pait Dard shuru ho jaye to pait phoolny lagta hai, is sy bachny k lye fori tor par darj zel long ka arq taiyar kar lain or istemal karain bohat he mujjarrab hai is ke ilawa is nuskhy ke istemal sy maidy ke masail (stomach problems) bhe khatam ho jaty hain.

Tarkeeb:

Safoof long (clove) 10 ratti kholta hua pani 50 tola jab puri tarah say bheeg jaye to chhan lain. Rozana din main 3 dafa istemaal karein har bar 2.5 tola istemaal karain.

2. Bad Hazmi ka Ilaj

Jab Bad hazmi ki shikayat ho to khanay say pehlay mandarjah zel nuskhah pait dard ka ilaj hai.

Tarkeeb:

Safoof long 1.5 masha khanay ka soda 10 tola ratti ubalta hua pani 5 tola raat ko sotay waqat 8 ya 10 long (clove) kachi ya bhuni huyi khanay say fori aram hasil hota hai.

Scroll to Top