Khujli jild ki bemari ki alamat hai jiska tajurba taqreeban ham sab ny zindagi k kisi na kisi hissy main kiya hua hai. Is k bawajood bhe khujli ko kisi dusry fard k samnay bayan karna intehai mushkil hota hai. Khujli ki alamaat mukhtalif hoti hain, albatta ye jild par jalan, or bechaini ka sabab banti hai.
Aksar sardiyon main hum jisam ki zaroorat k mutabiq paani ka istemal nhe karty or garam cheezain khaty hain or garam kapry pehanty hain. Pani ki is kami ki wajah sy hamara khoon gaarha ho jaata hai jo jild ki allergy, khujli ka sabab banta hai.
Agar aapki jild khushak hai to ye aap k liye khujli ka sabab ban sakti hai. Aapki jild khaas tor par sardiyon main or asi jaghon par jahan hawa khushak ho khujli ka shikar ho sakti hai. Agar aap ko sard mosam main jild ki khushki ho jati hai to aap ko bohat he ehtiyaat sy kaam lena hoga. Yaad rahy k khushak jild khujli ka sabab banti hai, isi lye apni jild ko khushak na hony dain or sardiyon main baqaidagi sy lotions or moisturizers ka istemal karain.
Kharish ki wajah janena bohat mushkil hota hai, ye aapky pehny hue kapry bhe ho sakty hain or aap ka istemal kiya hua toliya (towel) bhe ho sakta hai or isky ilawa yeh kisi bhe sangeen bemari ki alamat bhe ho sakti hai jesa k khoon main kisi bacteria ka paya jana ya jild par kisi infection ka hona waghera. Khujli ki alamaat (Skin allergy symptoms) in cheezon sy bhe wabasta ho sakti hain;
Jisam k kisi bhi hissy par zakham jab sookhny lagta hai to khujli ka sabab banta hai. Zakham k bigarny ki wajah sy bhe khujli ho sakti hai.
Sard mosam main khushk jild bhe khujli ka bais banti hai. Amoomi tor par khushk jild ki wajah sy hony wali khujli jisam main paani ki kami or garam cheezon k ziyada istemal ki wajah sy hoti hai.
Phatti hui jild bhe sard mosam ki wajah sy or paani k kam istemal ki wajah sy hoti hai jo k Kharish hony ka sabab banti hai.
4. CHEHRY OR SAR KI JILD KI PURTAIN UTARNAChehry or sar ki jild ki purtain utarna bhe jild ki bemari hai jo k khushki ki wajah sy hoti hai or ye khushki mosamiyati tabdeeliyon ki wajah sy bhe ho sakti hai or garam adwiyaat k istemal sy bhe ho sakti hai.
Jild ki surkhi bhe khujli hony ka sabab ban sakti hai, amoomi tor par jild ki yeh surkhi khoon main bacteria ya phir kemyaaee radde amal k nateejy main hoti hai jo k shadeed Kharish ki wajah banti hai.
Jild ki satah par chaaly (blisters) or dhaby ban jana bhe jild ki bemari main shamil hai. Chala jild ki uperi teh main banta hai jo k zehreely pani sy bhara hota hai. Ye aam tor par ragar lagny ki wajah sy ya kisi infection ki wajah sy banta hai.
Agar aap kisi aesi bemari main mubtala hain jis k lye aap garam mizaaj rakhny wali adwiyaat istemal kar rahy hain to in adwiyaat k radde amal k tor par aapko skin allergy ho sakti hai.
Machar k katny sy bhe skin allergy or khujli ka marz ho sakta hai, machar k katny sy apky jism main jahan machar ny dunk mara ho wahan jalan ka ehsaas hota hai or sirf Kharish karny sy he aap sakun mehsus karty hain, lekin agar aap musalsal us jagah par khujli karty rahain to shadeed qisam ki skin allergy hony ka ehtamal rehta hai. Jild par hony wali kisi bhe qisam ki skin allergy treatment aaj he hasil karain.
Lakra kakra aik intehai mutadi viral infection hai jo shadeed bukhar or jild ki satah par chaaly baneny ka sabab banta hai. Yeh bemari bachon main aam hai. Jesa k pehly bataya gaya hai k lakra kakra aik mutadi marz hai jo mutasirah shaks k khansny ya cheenknay sy hawa k zariye dusry fard main muntaqil ho sakta hai. Is marz main mareez ki jild par choty choty daany ban jaty hain jo k takleef ka bais banty hain.
Saib ka sirka na sirf khanon ka zaiqa barhata hai balky is main mojood antibacterial khawas isy khujli ka desi ilaaj bhe banaty hain. Is sirky ko roui (cotton) mein bhigo kar khujli waly hissy par halka halka lagayen. Saib ka sirka daad khaj khujli ka desi ilaaj hai. Mukammal tor pay khujli sy najat hasil karny k liye kam sy kam 4 roz tak din main 2-3 martaba saib ka sirka mutasirah jagah par lagain.
Lehsan ko sirky mein bhigo kar is mixture main namak shamil karain or jisam k mutasirah hissy par laga kar kam sy kam 5-7 minute k liye chor dain phir mutasirah hissy ko thanday pani sy dho lain. Khujli ka desi ilaaj karny k liye is gharelu totky ko kam sy kam aik hafty tak istemal karain.
Tulsi k pattay pees kar iska arq mutassirah jagah par din mein 2-3 martaba lazmi lagain. Iska istemal us waqat tak jari rakhain jab tak skin allergy puri tarah thek na ho jaye is ke ilawa ye face per khujli ka desi ilaaj bhe hai.
Kharish ka ilaaj aapky kitchen main paye jaany wali aam cheezon sy mumkin hai. Aapko ab kisi skin specialist k paas jaany ki zarurat nhe, ghar bethy he desi ilaaj karain or khujli jesi bemari sy chutkara payen.
In 5 tailon ko barabar miqdaar main lay lain or inhain mix kar lain. Agar sirf khushak khujli hai to is main kuch bhe dalny ki zarurat nhe or agar khujli ki wajah sy jild ki satah par daany ban gaye hain to is tail k mixture main kanwar gandal ka gel daal lain.