HIGH CHOLESTEROL KA DESI ILAAJ – HERBAL TREATMENT FOR HIGH CHOLESTEROL

Cholesterol kia hai (What is cholesterol). Cholesterol insani khoon main paya jany wala aik maadah hai. Sehat mand khuliyat k baneny k liye insani jisam ko is ki zarurat hoti hai. Lekin, cholesterol ki had sy barhi hui satah bhe nuqsan deh hai jo mukhtalif bemariyon ka sabab banti hai, jesy k sharyano ka sukarna ya band ho jana, dil k amraaz waghera.

Khoon main cholesterol ki satah barhany sy insani jisam ki khoon ki sharyano main charbi jama ho jati hai or ahista ahista barhati he rehti hai jo sharyano main khoon k bahao ko rokti hai.

Jesa k pehly bayan kiya gaya hai k baaz okaat sharyano main jami hui charbi khoon ki rawani ko rokany ka sabab bhe banti hai or dil or laqwa jesi bemariyon ka sabab banti hai.

High cholesterol ki bemari moroosi bhe ho sakti hai jo aapko virasat main aapky khandan k barron sy lag sakti hai. Aam tor par dekha gaya hai k yeh bemari aksar ghair sehatmand tarz e zindagi k intehkhab ka nateeja hoti hai. Apni roz marrah ki zindagi main chand tabdeeliyan kar k iski rok thaam or ilaaj bhe kiya ja sakta hai. Bohat sy tabeeb hazraat sehat mand ghiza khany or warzish karny ka mashwara dety hain q k warzish karny sy khoon aap k poory jisam main supply hota hai jo aapky jisam main chiknai ko jamny nahi deta.

HIGH CHOLESTEROL KI ALAMAAT

  • Cholesterol ki alamaat (high cholesterol symptoms)

  • high cholesterolagarchy wazeh nahi hotien, lekin yeh aapky liye upar bayan ki gai bemariyon ka sabab ban sakta hai, jin main buland fishar e khoon, ziabetees, dairvi arooqi bemari, akleeli sharyan ki bemari, angina, seeny main dard, laqwah, or stroke jesi bemariyan sarre fehrist hain. In amraaz k ilawa cholesterol main;
  • Apki jild par peely rang k ghao banena shuru ho jaty hain
  • Bohat sy log jo motapy ka shikar hain or ziabetees jesy masail sy bhe nabard azma hain un main bhe high cholesterol ki alamat (symptoms of high cholesterol) pai jati hain..
  • Mardon main namardi ki bemari bhe cholesterol sy mutasir hony wali sharyano ki wajah sy ho sakti hai

HIGH CHOLESTEROL SY JURI 5 KHATARNAK BEMARIYAN

High cholesterol ki wajah sy aap darj zail bemariyon ka shikar bhe ho sakty hain;

  • high cholesterolAkleeli Sharyan Ki Bemari (Coronary Heart Disease)
  • Stroke
  • Dairawi arooqi bemari (Peripheral Vascular Disease)
  • Ziabetees (Diabetes)
  • Buland Fishar e Khoon (High blood pressure)

1. AKLEELI SHARYAN KI BEMARI (CORONARY HEART DISEASE)

High cholesterol ki wajah sy lahaq hony wali sab sy bari or aam bemari akleeli sharyan ki bemari (coronary heart disease) hai. Agar cholesterol ki satah bohat ziyada hai to aap ki sharyano main chiknai ki satah barh sakti hai or waqat guzarny k sath sath yeh apki sharyano ko band bhe kar sakti hai. Chiknai jamny ki wajah sy sharyanain sukar jaati hain nateejatan khoon ki rawani mutasir hoti hai, dil k pathy khoon kam milny ki wajah sy kamzor ho jaty hain or akleeli sharyan ki bemari (coronary heart disease) janam leti hai jis sy seeny main dard ya dil ka dorah par sakta hai or khoon ki naali mukammal tor par block ho jati hai.

2. STROKE

Salabat e sharyan ya sharyano k sukarny ki wajah sy dimagh ko khoon sahi miqdar main nahi mil pata yahan tak k khoon ka dimagh main pohanchany ka rasta masdood ho jata hai jiski wajah sy laqwah hony ka khatra rehta hai.

3. DAIRVI AROOQI BEMARI (PERIPHERAL VASCULAR DISEASE)

Dairvi arooqi bemari ya peripheral vascular disease bhe cholesterol sy juri hui bemari hai. Is sy murad dil or dimagh k sharyano k ilawa dusri khoon ki raggon main charbi ki wajah sy hony wali rukawat hai jo khoon ki rawani ko rokhti hai or baaz dafa in ko mukammal block karny ki wajah bhe banti hai. Yeh bemari bunyadi tor par tango or pairon ki sharyano main hoti hai.

4. ZIABETEES (DIABETES)

Ziabetees LDL or HDL cholesterol ke darmiyan tawazun ko mutasir kar sakti hai. Diabetes ke mareezon main LDL cholesterol k zarrat mojood hoty hain jo unki sharyano sy chipak jaty hain or sharyano ko mutasir karty hain.

5. BULAND FISHAR E KHOON (HIGH BLOOD PRESSURE)

Buland fishar e khoon jisy aam tor par high blood pressure bhe kaha jata hai high cholesterol sy munsalik hota hai. Jab sharyanain charbi sy sakhat ho kar sukarny lagti hain or band ho jati hain to dil ko in k zariye khoon pump karny main bohat ziyada dushwari ka samna karna parta hai jis k nateejy main fishar e khoon ya blood pressure ghair mamooli had tak barh jata hai or is k nateejy main dil ki bemariyan bhe janam ly sakti hain.

CHOLESTEROL KI WAJOHAT OR ROK THAM

Ghiza main charbi ka ziyadah miqdar bhe high cholesterol hony ki aik wajah hai. Matwazan ghiza khain or apny khany main charbi or ghee ki miqdar ko kam karain is sy aapka barha hua cholesterol normal kiya ja sakta hai. Ghiza k sath sath apni roz marrah ki zindagi main warzish ko bhe apna mamool banain is sy aap ki raggon main khoon bina kisi rukawat ke pohanchta rahy ga.

  • Khaany k foran baad lait jana
  • Motapa
  • Ziabetees
  • Jigar or gurdy ki bemari
  • Hamal ki wajah sy
  • Mukhtalif Adwiyaat

KONSI CHEZAIN CHOLESTEROL BARHATI HAIN? (WHAT CAUSES HIGH CHOLESTEROL)

 

  • Chota or Bara Gosht
  • Margarine
  • Bakery Ki ashya
  • Doodh or doodh sy bani ashiya
  • Kimyai tareeqy say hasil kiye hue tail

CHOLESTEROL KAM KARNY WALY KHANY

Cholesterol ke level ko kesy kam kia jaye (how to lower cholesterol). Ilaj bil ghiza sy he cholesterol ke barhaty hue level ko darust kia ja sakta hai. Cholesterol kam karny main madadgar ghizaon main shamil hain;

  • Daliya
  • Jaon or Anaaj
  • Phaliyan
  • Baingan or Bhindi
  • Garri waly Meway
  • Canola, Sunflower Ka Tail
  • Phal (Saib, Angoor, Strawberries, and Khatty Phal)
  • Soy or Soy Waly Khany
  • Machli
  • Raishon waly Khany

Darj zail main hum cholesterol ke gharelu ilaj (home remedies for cholesterol) k bary main baat karain gy. In gharelu ilaaj main shamil hain;

1. ISPAGHOL KI BHOOSI

Ispaghol ki bhoosi ya chilka bhe insani jisam main cholesterol ki satah ko kam karny main intehai aham hai. Aik tehqeeq k mutabiq Ispaghol ka chilka khany sy is main mojood rehsy (fibers) khoon saaf karty hain or khoon main sy chiknahat or charbi baneny walay anasir ko khatam karny main madad faraham karty hain. Rozana 1-2 khany k chamach Ispaghol ka istemal doodh ya pani k sath cholesterol ko bhe munazzam (normal cholesterol levels) karta hai or qabaz jesy amraaz main bhe akseer ka darja rakhta hai.

2. LEHSAN

Aam tor par khana pakany main istemal hony wali lehsan ko sehat barhany wali khasusiyaat ki bina py jana jata hai. Lehsan main amino acids, vitamins, or madniyaat shamil hoti hain or yahi ajza lehsan ko aik behtareen cholesterol ka ilaaj bhe banaty hain. Mazeed tehqeeqat sy sabit hua hai k lehsan main mojood kimyai khawas isy HDL or LDL cholesterol ko numayan tor par kam karny main moassar sabit hotay hain. Lehsan buland fishar e khoon (high blood pressure) k mareezon k liye aik behtareen qudarti tohfa hai. Rozana lehsan ki aik long ka istemal cholesterol ki satah ko 9% tak kam kar sakta hai.

3. DHANIYA K BEEJ

Dhaniya k beej cholesterol kam karny ka Unani ilaaj main istemal hoty rahy hain jinki aik lambi fehrist hai. Is k ilawa dhaniya ke beej barhaty hue cholesterol ko kam karny main intehai mufeed hain. Is main folic acid or beta-carotene jesy aham vitamins mojood hoty hain.

4. SABAZ CHAYE

Paani k baad sab sy ziyada istemal hony wali maya cheezon main sabaz chaye hai. Sabaz chaye main polyphenols (aik aesa murakkab jo insani jisam ko kimyai mawad sy hony waly nuqsan sy rokta hai) mojood hoty hain. Sabaz chaye main na sirf barhaty hue cholesterol ko karm karny ki salahiyat mojood hoti hai, balky kam cholesterol ki satah ko bhe normal rakhny main madad faraham karti hai. Din main 1-2 cup sabaz chaye k zaroor istemal karain.

Scroll to Top